chale aao mere baba sakina ro rahi hai
dare zindan par tanha sakina ro rahi hai
mujhe ab neend bhi aati nahi is qaid khane may
guzurte hai mere din raat ub aansu bahane may
ay baba aap ki dukhiya sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
safar ki khaak hai sar may lahoo kaano se jaari hai
andhera hi andhera hai fiza may soghwari hai
nikal jaaye na dam mera sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
bohat bechain rehti hoo mai baba se juda ho kar
mai baba ko bataungi sitam toote hai jo mujh par
kaho baba se ay bhaiya sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
mujhe hai yaad ke mujhko wo seene pe sulaate thay
mai jab bechain hoti thi kaleje se lagaate thay
kahan ab baap ka seena sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
safar ki daastan tumko mai ro ro kur sunaungi
rasan ke aur tamachon ke nishan tumko dikhaungi
koi bhi ab nahi aata sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
khabar kisko ke baba ne mujhe naazon se paala hai
kise maloom tha mujhpar ye din bhi aane waala hai
karungi jab ye wawaila sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
mujhe hai ye khabar baba yaqeenan laut aayange
chuda kar qaid khane se watan wo leke jayenge
unhe maloom jab hoga sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...
mohib sadaat ke rone ki ek shab ko sada aayi
sar e shabbir us bacchi ne paaya to qaza aayi
labon pe jis ke nauha tha sakina ro rahi hai
chale aao mere baba...