sakina shaam ke zindan may so gayi baba
tamache shimr se khaati thi jab bhi roti thi
andheri raat may uth uth ke bas ye kehti thi
meri aseeri pe roti hai bekasi baba
sakina shaam ke zindan...
ay baba aap ke seene ki usko aadat thi
zameen pe sone ki koshish may jaagti hi rahi
teri yateema ko neendh aayi na kabhi baba
sakina shaam ke zindan...
phupi se kehti thi ro ro ke ye batado phupi
sitam ki qaid se ghar apne ja sakenge kabhi
usay rehaai na mar ke bhi mil saki baba
sakina shaam ke zindan...
banayi aap ne maqtal may qabr asghar ki
lehad banayi hai zindan may maine muztar ki
padi jo fateha roti thi hathkadi baba
sakina shaam ke zindan...
kafan lahoo bhara kurta hi hai sakina ka
diya hai ghusl bhi ashkon se ay mere baba
kafan bhi rota tha aur mai bhi qabr bhi baba
sakina shaam ke zindan...
nahi zara sa ujaala bhi us ki turbat par
andhere karne lage nauha us ki turbat par
karega kaun yahan aa ke roshni baba
sakina shaam ke zindan...
bayan kaise karenge ye mesum o mazhar
jo bain baba se karte thay abid e muztar
sakina shaam ke zindan may so gayi baba
sakina shaam ke zindan...