Kanz e Aza

Sakina Tum Nahi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

tadap kar yun na tadpana

sakina tum nahi rona


suno baba ka ye kehna

tumhe hai sabr se rehna

badal jayegi ye dunya

sakina tum nahi rona...


jalaane aayenge aada

hamare baad ye qaime

jalega jab tera kurta

sakina tum nahi rona...


daraane aayenge zaalim

liye haaton may jab khanjar

meri bacci na tum darna

sakina tum nahi rona...


tamache maarega dushman

tumhare cheen kar gauhar

na hoga jab koi apna

sakina tum nahi rona...


badegi pyaas ki shiddat

jab hogi har nayi aafat

na hoga bhai jab mera

sakina tum nahi rona...


tumhe kab neend aayegi

na hoga jab mera seena

tumhe kaanton pe hai sona

sakina tum nahi rona...


andhere qaid khane may

tumhe neend aayegi kyun kar

na hoga baap ka seena

sakina tum nahi rona...


riza ho aap ki maula

likha hai usne ye nauha

sakina tum nahi rona

sakina tum nahi rona...