wali ibne wali sakhi ibne sakhi
jari ibne jari sher e jali nade ali
darham barham hai lashkar saara
alam dekh ke sab ne pukara
qaza nahi hai jis ko gawara
wo chod de darya ka kanara
sar e karbala goonji sadayein
qaza ki cha rahi hai ghatayein
faras ko jaldi se bhagayein
chalo apni jaanein bachayein
bhaag lo ab ran se aaj to sar tan se
rooh ka jeevan se
yani rishta tan man dhan se
baaqi na rahega khoon sab ka bahega
koi na bachega gar kar de hamla abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbobala abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
qadam qadam pe maut bicha ke
saron se saara dasht saja ke
sitamgaron ko khaak chata ke
badal diye hai rang faza ke
wo dekho darya cheen liya hai
adoo ka pehra toot chuka hai
fiza mein naara goonj raha hai
alam jari ne gaad diya hai
alqama kar degi faisla
ay fauj e ashqiya
darya tha kal bhi mera aaj bhi mera
maujon ne kaha hai saahil par likha hai
waada jo kiya hai kar dega poora abbas
pani par abbas ka qabza
kal bhi tha aur aaj bhi hai
sun le jahan darya ye hamara
kal bhi tha aur aaj bhi
ghazi ke parcham ka panja
aaj bhi sab se kehta hai
bayyat ke moo par ye tamacha
kal bhi tha aur aaj bhi hai
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbobala abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
shabab e murtaza abbas
dua e fatema abbas
alamdar e hussain abbas
hassan ke dil ke chain abbas
abal fazle ali abbas
wali ibne wali abbas
dile ummul baneen abbas
haseeno mein haseen abbas
bahadur aur nidarr
ay sher e nar sheh ki sipar abbas
wafa ki ibteda aur inteha
haq ki sada abbas
qaza hai tere sang abbas
tera hamla dabang abbas
dileron ka diler abbas
kare dushman ko dher
abbas abbas abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbobala abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
wali ibne wali sakhi ibne sakhi
jari ibne jari sher e jali nade ali
idhar udhar se lashkar aaye
kahan hai himmat aankh milaye
faras jo un par bijli giraye
gire jo gir kar uth nahi paaye
khata huwe ausaan shaqi ke
jo dekhe tevar sher e ali ke
hai ye manzar qehre jali ke
qadam ukhde zameen se sabhi ke
maimana ulta hai
maisara bikhra hai
har jagah dekha hai
shiraza saari faujon ka
qasim hai na akbar
na hurr sa dilawar
kehte hai ye sarwar
kaafi hai tanha abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbbala abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
darham barham hai lashkar saara
ye mashk o alam ye jaah o hasham
kehte hai mujhe saqqa e haram
maula ki qasam todunga bharam
bhaagenge abhi ye ahle sitam
wo hashr bapa mai kar dunga
laashon se ye maqtal bhar dunga
gar mashk pe waar karoge tum
mai jeena mushkil kar dunga
jo kaha ghazi ne kar diya hyder ki hai sada tu ne to
naqsha khayncha hai khyber ka
har soo hai tabahi
ay mere sipahi
mai dunga gawahi
ay mere beta abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbala abbas
hyder e karbbala abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
ya ibne hyder ya abbas
ya sher e babbar abbas
darya pe alam ko gaad diya
pyason ke liye mashkeeza bhara
qaime ki taraf ghazi jo chala
ghazi ko adoo ne ghayr liya
wo teer chale wo mashk chidi
baazu jo kate sambhla na jari
thi gurz se zakhmi peshani
maqtal mein tadapta tha ghazi
ek aankh mein us ki teer laga
qaimon mein idhar faryad ye thi
wawaila wawaila wawaila al abbas
wawaila wawaila wawaila al abbas
wawaila al abbas wawaila al abbas
wawaila al abbas
qaimon mein alam aaya hai alam bardar nahi aaya
ay mazhar aur farhan sakina ne ye farmaya
wawaila wawaila wawaila al abbas
wawaila wawaila wawaila al abbas
wawaila al abbas wawaila al abbas