sakina shaam ke zindan mein ro ro ke karti thi bayan
jee nahi sakti tumhare bin ay mere baba jaan
neend aati hi nahi dil ko sukoon milta nahi
maangne par bhi mujhe haye pani koi deta nahi
ab bulalo paas apne ghut raha hai dum yahan
sakina shaam ke zindan mein...
kaan zakhmi hai mere kurta bhi mera hai phata
chin gayi chaadar jo meri sar bhi mera hai khula
dil se mere uth raha hai aap ke gham ka dhuan
sakina shaam ke zindan mein...
karbala se shaam tak dhaaye gaye mujh par sitam
shimr ne maare tamache taziyane dam ba dam
paaon mein chaale thay mere aur galay mein reesma
sakina shaam ke zindan mein...
bhai abid ki sunaun kaise tumko dastaan
unko zanjeeron mein jakda zaalimon ne baba jaan
hote na un par sitam ye aap jo hote yahan
sakina shaam ke zindan mein...
zulmate shab mein meri amma ye deti hai sada
ay mere shashmah asghar kyun huwe maa se juda
ye bata do mera nanha bhai asghar hai kahan
sakina shaam ke zindan mein...
shaam ko ghar jaate hai sab tayeraan e asmaan
kab madine jaaungi mai ay mera tashna dahan
kab milungi jaa ke sughra se meri jo hai wahan
sakina shaam ke zindan mein...
jab nazar aata hai pani yaad aate hai chacha
hote jo wo paas mere shimr kab karta jafa
chod kar mujhko na jaane jaa chuke hai wo kahan
sakina shaam ke zindan mein...
yaad mein aankhon se mere khoon ke aansu behte hai
zinda laashon ki tarha is qaid mein hum rehte hai
hum pe girya kar rahe hai ye zameen o aasman
sakina shaam ke zindan mein...
bhai ki chaahat kahan aur aap ki shafqat kahan
seene pe sojaun mai aisi meri qismat kahan
bhai akbar yaad aate hai jo sunti hoo azaan
sakina shaam ke zindan mein...
soz ho ek ko ata aur ek ko zor e qalam
rakhiyega dona pe ay bibi sada chashm e karam
aap ka shayar hai ahmed aur mohsin nowhakhan
sakina shaam ke zindan mein...