Kanz e Aza

Shere Dilawar Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

haye akbar mere akbar

sher e dilawar akbar

laila ke dilbar akbar

shabihe payambar akbar


abbas ke marne se tooti hai kamar meri

be-noor hui tere marne se nazar meri

ghayre hue hai mujhko do laakh ka ye lashkar

dhoondu mai kahan tujhko do mujhko sada akbar

bebasi ka aalam hai

ankhein meri purnam hai

dil mein jo tera gham hai

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…


lagti hai mujhko beta har ek qadam pe thokar

kya tu gaya ke mera bardaad hogaya ghar

shadi ka tere arman dil mein liye hai maadar

usko bataun kaise ye haal tera dilbar

kya mai kahunga jaa kar

pooche jo teri maadar

kahan hai mera akbar

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…


ay kaash teri koi aulaad agar hoti

tu khud hi samajh leta is baap pe kya guzri

marte hue jawan ko dekhe agar zaeefi

dunya mein is se badkar hogi na bad naseebi

kis se karoonga faryaad

hogaya jo ghar barbaad

jee ne sakun tere baad

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…


seerat mein aaena ho surat mein aaena ho

tu bolti hui ek tasveer e mustufa ho

azm e bahaduri mein tum misle murtaza ho

jaan deke ye bataya tum ibne la-fata ho

lutgayi meri dunya

gham ka hai ek sannata

mushkilo ka hai pehra

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…


mushkil ka marhala hai baba ye natawan hai

karbal ki khaak par ab marne ko naujawan hai

manzar ko dekh kar ye khoon roya aasman hai

manzar lahoo lahoo hai dil soz ek samaa hai

gham ka saaya chaya hai

tanha tera baba hai

maut ka andhera hai

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…


laasha mai tera lekar qaime mein kaise jaun

pooche agar sakina kya usko mai bataun

paala tha jis phupi ne kya haal mai sunaun

haalat hai ghair meri himmat kahan se laaun

ab na rahi koi aas

na raha bhai abbas

tu bhi nahi mere paas

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…


karbobala ke ban mein sarwar ki natawani

kaise raqam ho ahmed bekas ki ye kahani

dekha hai zaeefi ne marti hui jawani

roodad e ghame sarwar mohsin teri zubani

ab na rahi koi aas

na raha bhai abbas

tu bhi na raha ab paas

haye akbar mere akbar...

sher e dilawar akbar…