Kanz e Aza

Sina Toot Gayi Hai

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Raza Shah. Lyrics in Roman Urdu.

rakna meri amma se mera zakhm chupa kar

baba mere seene mein sina toot gayi hai


seene pe rakha haath hataya nahi jaata

wo dard hai seene mein bataya nahi jaata

aur pyaas se aati hai meri jaan labon par

baba mere seene mein...


khud aap wali ibne wali hai mere baba

wallah zamane ke ali hai mere baba

kis tarha se taazeem karoo aap ki uth kar

baba mere seene mein...


us ko mere aa jaane ki umeed badi hai

jeene ki dua usne mujhe khat mein likhi hai

sughra se ye kehna ke miloonga labe kausar

baba mere seene mein...


armaan tha zainab ka banaati mujhe dulha

ab dekhengi sehre ki jagah khoon bhara chehra

dekha mujhe aise to na mar jaye tadap kar

baba mere seene mein...


dekhe se mujhe yaad tumhe aate thay nana

ab aakhri ye tum se mulaqaat hai baba

mil jayegi matti mein ye tasveer e payambar

baba mere seene mein...


is zakhm ke upar mai naye zakhm bhi khaa loo

jaan apni fida kar ke shahe deen ko bacha loo

ye dil ki tamanna thi magar haye muqaddar

baba mere seene mein...


akbar ne raza apne padar se ye kaha tha

sau baar mai ho jaata fida e shahe waala

gham iska rulaata hai mujhe sibte payambar

baba mere seene mein...