fauj e aada thi udhar jang pe tayyar khadi
jaan dene pe yahan fauje elaahi thi tuli
yak bayak sheh ki nazar akbar e mehroo pe padi
dekh kar suye pisar shaah ne awaaz ye di
taqadam waladi taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar taqadam waladi
saj chuka maut ka bazaar taqadam waladi
hoti hai teeron ki bochaar taqadam waladi
zad pe hai sab mere ansaar taqadam waladi
in pe aanch aaye na zinhaar taqadam waladi
waqt ye wo hai ke talwaar uthaale hum log
deen e haq ko kisi surat se bachale hum log
kyun kisi aur par is baar ko daale hum log
kyun na ye maareka khud aap sambhale hum log
khaynch kar nyaam se talwaar taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar...
lashakre shaam ko badhne ki ijazat kyun de
rok de door khareeb aane ki mohlat kyun de
hum pe nargha kare itni unhe fursat kyun de
aur is ke liye as'haab ko zehmat kyun de
chaaron jaanib se hai yalghaar taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar...
bhai abbas sambhale rahe lashkar ka nizam
qasim o aun o mohamed rahe nazdeek e qayaam
taa ke is simt ka rukh kar ne sake lashkare shaam
aur tum aage badho behre wigha le ke husaam
tera allah madadgaar taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar...
deen nana ka mite aur nawasa seh le
ye na hoga kabhi hum se koi kuch bhi keh le
khoon behta hai to hum logon ka is par beh le
bhejta jang pe abid ko mai tum se pehle
magar abid to hai bemaar taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar...
mujhse wo chaahte hai badr o ohad ka badla
mere aslaaf ki har jid o jahed ka badla
deen e islam ki nusrat ka madad ka badla
lenge ye tere pidar se tere jadd ka badla
hum hai is ke liye tayyar taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar...
hum ko tareekh badal deni hai dasht o dar ki
jhuke aainda jabeen jis pe zamane bhar ki
gar zaroorat ho to baazi bhi laga do sar ki
aakhri jang samajh lo isay apne ghar ki
jaane phir kab khinche talwaar taqadam waladi
karbala ho chuki tayyar...