Kanz e Aza

Zara Bad ke Dekho

A noha for Darbaar e Shaam, written by Hasan Imdad. Lyrics in Roman Urdu.

mohabbat ki waadi mein lut'ta lutata

masayeb ki dunya mein phirta phirata

nakahat se har gaam par dagmagata

sambhale huwe bediyan ladkhadata

mazaalim ke toofan se takra raha hai

zara bad ke dekho ye kaun aa raha hai


ye kis ke hai naizon pe sar aage aage

jo ab bhi hai seena sipar aage aage

sitaare hai peeche qamar aage aage

bahattar charagh humsafar aage aage

sawad e sar e shaam tharra raha hai

zara bad ke dekho...


mukammal masayeb ke saanche mein dhal ke

hidayat ki raahon mein kaanton pe chal ke

faqat ye nahi ke kiya sabr balke

zara sabr ki hadh se baahar nikal ke

imamat ki taaqat ko dikhla raha hai

zara bad ke dekho...


sataate hai behad ye paon ke chaale

aur in mein wo kaante ke jaise ho bhaale

magar kya kare kaise unko nikaale

ye kaante nikaale ke langar sambhale

taras bhi to koi nahi khaa raha hai

zara bad ke dekho...


araq rezma tha shikan dar shikan hai

labon ki khamoshi sukhan dar sukhan hai

kalayi to dekho rasan dar rasan hai

magar phir bhi ye gul chaman dar chaman hai

jo aaj apni khushboo ko phaila raha hai

zara bad ke dekho...


ye ummat ke haathon sataya gaya hai

ye qaidi nahi hai banaya gaya hai

ye baaghi nahi hai bataya gaya hai

isay suye darbar laaya gaya hai

ye haq hai ke baatil se takra raha hai

zara bad ke dekho...