tadapti reh gayi laila chale gaye akbar
kise banayegi dulha chale gaye akbar
ye aarzoo thi ke laila khilayegi pothay
raha ye khwaab adhoora chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
ajeeb zauf ka aalam hai utra utra hai
batool dadi ka chehra chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
kisi ne poocha ke behosh kyun hai binte ali
to roke boli sakina chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
pisar bhi kar diye qurban behan ne bhai par
ye maamta ka hai nauha chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
hussain laasha e abbas par ye kehte thay
suna kuch aap ne bhaiya chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
tumhara daaghe judaai na seh sake bhai
aur hum ko chod ke tanha chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
hussain jaate hai maqtal may sar katane ko
uthega kaise janaza chale gaye akbar
tadapti reh gayi...
hussain rote thay anwar ye kehte jaate thay
jiyegi kis tarha laila chale gaye akbar
tadapti reh gayi...