teer asghar ke liye
barchi akbar ke liye
gardane shabbir thi
kund khanjar ke liye
aaye laakhon aadmi
sheh ke ek sar ke liye
teer asghar ke liye...
sar kataya shaah ne
deene yawar ke liye
teer asghar ke liye...
sar bahattar laaye hai
nazre daawar ke liye
teer asghar ke liye...
aahni zanjeer aur
ek laaghar ke liye
teer asghar ke liye...
dafn zindan may hui
roti thi ghar ke liye
teer asghar ke liye...
wo hamare hai faqat
hum bahattar ke liye
teer asghar ke liye...
daulate matam mili
zindagi bhar ke liye
teer asghar ke liye...
pyaas sheh ki bad gayi
aab e khanjar ke liye
teer asghar ke liye...
halq ne shabbir ke
bosay khanjar ke liye
teer asghar ke liye...
ashk bhi bechain hai
deedaye tar ke liye
teer asghar ke liye...
aankh pani laayi hai
pyase asghar ke liye
teer asghar ke liye...
maula kuch to sochiye
apne anwar ke liye
teer asghar ke liye...