Tadapna wo akber ka keh keh ke paani
Jhijhakti qaza aur ubharti jawaani
Sirhaane pisar ke pidar sun raha hai
Har hichki ki aawaaz me pani pani
Na zainab ki dhaaras na maa ka sahara
bhare ghar se rukhsat hui hai jawani
Qayamat hai ab inqelaabe zamana
Zaeefi ke haato pa uth'ti jawaani
Jab asghar humakte hai haato pa sheh ke
ubal ta hai darya chalakta hai paani
Ubalte hai abbas ke ran me aansu
tapakta hai mashke sakina se paani
Lute dono aashoor ko karbala me
Nabi ka alam aur ali ki nashaani
Hai ab jalte qaimo me majboor abid
bohot paas shole bohot door pani
wo darbaare hakim wo laakho ka majma
Wo bhai ka qissa behen ki zabani
Meri god me aake baitho sakina
sunaau mai bhayya ki tumko kahani
Rahe neel baazu e zainab pa baaqi
watan ko gayi karbala ki nashaani