Kanz e Aza

Talab ki Manzil

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Izzat Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

talab ki manzil e maqsood karbala tak hai

phir uske baad nazar arsh e kibriya tak hai


wohi amal wohi fikr o nazar wohi andaaz

nabi ke khoon ka asar shaah e nainawa tak hai

talab ki manzil...


khiyaas kije wo kya hoga har amal jiska

balandiyon ke tasavvur ki inteha tak hai

talab ki manzil...


rasool paike khuda hai hussain paike rasool

khuda se baat chali thi khuda-numa tak hai

talab ki manzil...


wo dekh surkhiye afsana e urooj e bashar

lakheer khoon ki kaabe se karbala tak hai

talab ki manzil...


wo log daawar e maahol ke muqabil hai

rasaayi jinki faqat khanjar e jafa tak hai

talab ki manzil...


na jaane kitne zamanon ki manzilon pa muheet

safar madine se sehra e karbala tak hai

talab ki manzil...


rukenge baap ke aansu na laashe akbar par

ye zabte giriya faqat fursate wagha tak hai

talab ki manzil...


hussain dhaamp lo daaman se gardane asghar

ke ab to ashk fishan chashme hurmala tak hai

talab ki manzil...


fishaar de na girah go ke is rasan may shaqi

bandha hua kisi masoom ka gala tak hai

talab ki manzil...


yazeed maal e ghanimat dikha na logon ko

ke is mein zainab e mazloom ki rida tak hai

talab ki manzil...


nuqooshe paaye mohamed talaash kar izzat

ke haddhe fiqr musafir ki rehnuma tak hai

talab ki manzil...