Kanz e Aza

Zainab Aseer Hai

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

zainab aseer hai mere ghazi duhayi hai

sar pe musibaton ki ghata mere chayi hai


jalti zameen hai paon mein naalain bhi nahi

aur khaardar raahein hai teri duhayi hai

zainab aseer hai...


jaa kar watan kahungi mai nana ki qabr par

bhai ko khoke zainabe dilgeer aayi hai

zainab aseer hai...


har zulm pe sakina tujhe deti hai sada

shiddat se aaj usko teri yaad aayi hai

zainab aseer hai...


mehman bulake karne lage sang baariyan

kufe mein hum pe kaisi musibat ye aayi hai

zainab aseer hai...


bhaiya teri behan pe masayab bahut hue

zulm-o-sitam ki maari hai gham ki satayi hai

zainab aseer hai...


bhaiya tumhare baad jalaye gaye qayam

behna ye jalte qaime se abid ko laayi hai

zainab aseer hai...


zikre hussain ahmed-o-mohsin ka kaam hai

dono ke umr bhar ki yehi bas kameini hai

zainab aseer hai...