zainab aur hind aur shaam ka wo qaid khana tha
arey hind mere jo do laal thay
haye karbobala mein maine wo bhai pe qurban kiye
ye boli hind thay aun o mohamed to abhi kamsin
kaha zainab ne moo mehshar mein amma ko dikhana tha
zainab aur hind...
arey hind mera phool sa qasim
raat ko dulha bana subho shahadat paayi
ye boli hind qasim sa wo nazuk phool kyun laayi
kaha zainab ne shabbar ki wasiyat ko nibhana tha
zainab aur hind...
arey hind mera naazon ka paala wo akbar
hai seene pe sina khaake tadapta tha rayt par
ye boli hind hamshakle payambar ko nahi laati
kaha zainab ne us ki laash ko dulha banana tha
zainab aur hind...
arey hind mera cheh maah ka
asghar jo tha teeron se cheda gaya uska gala
ye boli hind sheh asghar ko maidan mein kyun le aaye
kaha zainab ne ummat ko nabi ki aazmana tha
zainab aur hind...
arey hind wo bemaar sajjad mera
haye is aalam e ghurbat mein kunbe ka saarban tha
ye boli hind tap mein sayyed e sajjad kyun aaye
kaha zainab ne gham inko bahatar ka uthana tha
zainab aur hind...
arey hind hum karbala se shaam o kufa gaye
hai darbaron mein nabi zadiyan ba-rehna sar gayi
ye boli hind kya ye sab hua abbas ke hote
kaha zainab ne wo hota to thokar pe zamana tha
zainab aur hind...
arey hind zamane ne aisi nazrein badli
haye nana ka bhara ghar ummat ne loot liya
ye boli hind kyun bibi luti wo shaan aur shaukat
kaha zainab ne sarwar ki zameen ko jo sajana tha
zainab aur hind...