binte ali hoon naam hai zainab
waada hai tujhse bhaiya
rang layega khoon tera
dhal gaya ashoor ka din lut gaya ghar baar
zainab hogayi tayyar
jayegi darbar ban ke hyder e karrar
zainab hogayi tayyar
jaa rahi hoon qaid ho kar haan magar waada raha
mere bhai mai kabhi sar jhukne na doongi tera
naam ay bhai tera zinda rakhungi sada
teri karbala ko aam kar ke shaam apne naam kar ke
aaungi wapas mai bhaiya
yaad hai mujhko teri baiyat ka wo inkaar
zainab hogayi tayyar
dhal gaya ashoor ka din...
na rukungi chaahe jitni bhi ho shiddat pyas ki
jaante hai shaam waale hoon behen abbas ki
mujhpe daurane safar jo uthayega nazar
nabeena uski nasl hogi hashr tak ye baat meri
bhoolenge shaami na wallah
sar pe mere haath rakh do bas uth kar ek baar
zainab hogayi tayyar
dhal gaya ashoor ka din...
jab tilawat tum karoge naize pe quran ki
haan ghadi wo hogi bhai jeet ke aelaan ki
doongi jab mai ye sada zinda hai bhai mera
keh do yazeed se ye jaa kar haar hai tera muqaddar
jeeta hai bas bhai mera
ay zameen e karbala ke syed aur sardar
zainab hogayi tayyar
dhal gaya ashoor ka din...
saani e zehra hoon mujhko sirf hai chadar ka gham
haan magar zainab ne bhai khayi hai teri qasam
ay mere pyase shaheed bach na payega yazeed
islam ka alam utha kar usko uske ghar mai jaa kar
maaregi ye zainab tanha
kaat degi usko mere khutbon ki talwaar
zainab hogayi tayyar
dhal gaya ashoor ka din...
bolna hai ab jalaale hyder e karrar mein
ghaiz mujhko aayega jab shaam ke darbar mein
saans ki awaaz bhi sun na payega koi
sab dekh lenge kya hai zainab yun lagega ruk gaya sab
hoga kuch aisa sannata
goonjegi darbar mein jab uskut ki lalkaar
zainab hogayi tayyar
dhal gaya ashoor ka din...
aansu apne ponch kar farhan o zeeshan abidi
khatm zainab ne kiye keh kar mulaqat aakhri
bhai ab har daur mein itni hongi majlisein
har ghar mein hoga tera matam aaj se har das muharram
dunya mein hoga ashoora
khatm na hogi qayamat tak teri sarkar
zainab hogayi tayyar
dhal gaya ashoor ka din...