zainab ki chadar allahu akbar
nauha tha sheh ka ye zer e khanjar
nauha tha sheh ka noke sina par
allahu akbar zainab ki chadar
zainab ki chadar...
shaam e ghariban roti hai jisko
khaake pareshan roti hai jisko
chashme bayaban roti hai jisko
khud zaat e yazdan roti hai jisko
rote hai jisko har waqt hyder
roti hai zehra jisko khule sar
allahu akbar zainab ki chadar...
aaye hai adam aaye hai khaatam
teri rida ka barpa hai matam
taari hai sab par girye ka aalam
seeno mein jaari hai ek khoone payham
karte hai matam dekho payambar
nauha yehi hai sab ke labon par
allahu akbar zainab ki chadar...
kehte hai kat kar ghazi ke baazu
kehte hai kat kar qasim ke abru
kehte hai beh kar abid ke aansu
kehte hai khoon mein akbar ke gaysun
kehta hai beh kar phir khoone asghar
kehta hai reti pe ye khoone akbar
allahu akbar zainab ki chadar...
qaime jalane aate hai aada
taabe ko dhaane aate hai aada
qaidi banane aate hai aada
dar dar phirane aate hai aada
kehta hai haye daaman ye jal kar
kehte hai haye chin kar ye gohar
allahu akbar zainab ki chadar...
aate hai abid sar ko jhukaye
apne lahoo mein khud hi nahaye
saaye se apne khud ko chupaye
zakhmo ko apne dil se lagaye
raahon mein jis dam aate hai pathar
kehte hai haye abid ke zewar
allahu akbar zainab ki chadar...
jis dam naved ek aandhi uthi thi
sheh ke galay par jis dam churi thi
maqtal mein har soo khoon ki jhadi thi
qaime ke dar par zainab khadi thi
likhun to kaise haye ye manzar
us dam yehi tha sheh ke labon par
allahu akbar zainab ki chadar...