Kanz e Aza

Zuljana Mere Baba

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Zulfiqar Ahmed. Lyrics in Roman Urdu.

zuljana zuljana

mere baba ko tu chor aaya kahan

roke karti thi nanhi sakina bayan

zuljana zuljana...


kyon hai balay kati kyon hai manka dhala

tere jism pe hai khoon kis ka pada

ye bata de mujhe hai kahan baba jaan

zuljana zuljana...


lipti qadmo se mai de rahi thi sada

mere baba ko maqtal may lekar na ja

par na tune suni meri aaho buka

zuljana zuljana...


ab na qasim raha aur na asghar mera

chor kar chal diya bhai akbar mera

koi kehde unhe hai ye waqte azan

zuljana zuljana...


chin gayi hai rida ban gayi hai rasan

ham huye hai giraftare ranjo mehan

tapte sehra pe hai khoon bhara ek samaa

zuljana zuljana...


laut aaya alam par na aaya chacha

sogaya kyon tarayi pe ammu mera

kya unhe hai khabar chin gayi baliyan

zuljana zuljana...


raahe purqaar se kis tarha hum chale

bhai sajjad ko taaziyane lage

tauq-o-zanjeer hai paon may bediyan

zuljana zuljana...


chalti hai har taraf se siyah aandhiyan

girti hai humpe kyon zulm ki bijliyan

jalte qaimon se uth'ta hai dekho dhuan

zuljana zuljana...


ho na paya rasan ye sakina ka gham

hogayi haye ahmed ki aankhein bhi nam

bas sunao hassan gham bhari daastan

zuljana zuljana...