Kanz e Aza

Aa Palat Aa Ay

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

ghaib se aayi sada aa palat aa ay hussain

tujhse raazi hai khuda aa palat aa ay hussain


asre ashoor ka hangaam qayamat ka samaan

dhoop mein jalti hui rayt se uth'ta hai dhuaan

bhook aur pyasa ka maara hai har ek peer o jawan

shiddate pyaas se hai tadkhi hui teri zuban

khushk hai tera gala aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


tera har ek amal nayk hai tabinda hai

maareka haq ke liye tera ye paainda hai

sabre ayyub tere sabr se sharminda hai

qatl jo haq ke liye hogaya wo zinda hai

tere haq mein hai baqa aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


tu ne islam ko akbar ki jawani dedi

thi jo nana ki nishani wo nishani dedi

nafs emaan ko ashkon ko rawani dedi

khatm jo ho na sakegi wo kahani dedi

naam ooncha hai tera aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


subh se tu ne kayi laashe uthaye hai hussain

zakhm par zakhm har ek gaam pa khaye hai hussain

dushmane deen bohat tujhko sataye hai hussain

khanjar o taygh o sina tujh pa chalaye hai hussain

tu ne har zulm saha aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


laashe qasim ke rakhe tukde abaa mein tu ne

wakf ki apni zuban hamd o sana mein tu ne

dar kiya apna fida raahe khuda mein tu ne

zulm kya kya na sahe karbobala mein tu ne

kar diya waada wafa aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


hogaya qatl har ek nasir o yawar tera

tera qasim hai na ab hai ali akbar tera

aun hai aur na mohamed hai na asghar tera

sogaya nehr pa abbas e dilawar tera

tu akela hai khada aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


aa mere paas mohamed ke nawase aaja

ay mere teen shab o roz ke pyase aaja

jaanibe arshe bari karbobala se aaja

ab to milne ke liye apne khuda se aaja

mera sab kuch hai tera aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...


tera nauha tere akhtar ne likha hai shabbir

tere irfan ne nauha ye padha hai shabbir

majlis e gham mein ajab hashr bapa hai shabbir

ye bhi ek tera karam teri ata hai shabbir

de ke ummat ko dua aa palat aa ay hussain

ghaib se aayi sada...