Kanz e Aza

Aisa Hua Barbaad

A noha written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

ujad gaye sadaat


ho na saka phir shaad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad bhara ghar zehra ka


chehel pehel jab ghar aangan mein hoti hai

tanhaai saaye se lipat kar roti hai

aa jaata hai yaad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


khoon mein dooba mashkeeza hai parcham hai

jangal hai pyase bacche hai matam hai

gham ki hai roodad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


qatl huwe sab koi nahi hamdardon mein

ghash se utho ek tum hi bache ho mardon mein

ujad gaya sajjad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


qaimon mein kuch bhi na bacha ashoor ke din

aaj aisa taaraaj hua ashoor ke din

phir na hua aabaad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


doobi hai ashkon mein duayein ek maa ki

aati hai maqtal mein sadayein ek maa ki

maut na kar barbaad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


pyason ki har cheez jala di qaimon mein

bedardon ne loot macha di qaimon mein

karta raha faryad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


ab na watan mein qasim akbar lautenge

ek faqad bas abid e muztar lautenge

sughra mat kar yaad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


tauq galay mein hai pairon mein zanjeerein

ghoom rahi hai aankhon mein sab tasveerein

bhoole nahi sajjad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...


hai aankhon mein khoon ke manzar aaj talak

gham ki qaid se aamir o akhtar aaj talak

ho na saka azaad bhara ghar zehra ka

aisa hua barbaad...