dekho madine waalon zakhmi hai jiska chehra
aisi nahi thi zahra
tooti hai phasliyan aur pehlu bhi hai shikasta
aisi nahi thi zahra
ummat ne sayyeda ka itna lahoo bahaya
pehlu se fatema ke jab jalta dar uthaya
zahra ko dekhte hi ro ro ke boli fizza
aisi nahi thi zahra
dekho madine waalon...
aulaad waalon socho kya waqt hoga maa pe
bacchon ke saamne jab khaati thi wo tamache
chadar mein ab chupa kar rakhti hai gaal apna
aisi nahi thi zahra
dekho madine waalon...
darbar jab gayi thi haalat nahi thi aisi
lauti hai jab se dekho baalon mei hai safedi
athaarwein baras mein lagti hai ek zaeefa
aisi nahi thi zahra
dekho madine waalon...
ye qabre mustafa par ro kar ali pukare
zahra ko zaalimon ne hai taaziyane maare
jab aap ne ali ko saumpa tha haath uska
aisi nahi thi zahra
dekho madine waalon...
kehti hai chalte chalte fizza mai gir na jaaun
hai warm is khadar ke uth'te nahi hai paaun
chalti hai apne ghar mein ab le ke wo sahara
aisi nahi thi zahra
dekho madine waalon...
bibi ko dafn kar ke zeeshan bole maula
choda hai saath uska ay rooh tu ne warna
baade rasool haye chode ali ko tanha
aisi nahi thi zahra
dekho madine waalon...