Kanz e Aza

Alamdar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

alamdar alamdar abbas e alamdar


saqqa e haram sayyed o salaar na aamad

wo sher-e-bahadur wo jigar daar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad


kaash abbas ko ladne ki ijaazat hoti

kya hai nau laakh yahan ek bhi bachta na koi

ek lamhe mein bicha deta wo laashe sab ki

kehti rahi abbas ki talwaar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


hoo ba hoo jafar e tayyar thi qaamat us ki

jang ladne ki adayein thi qayamat us ki

hukme shabbir azaan aur aqaamat us ki

shagird e hassan aahani dewaar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


us ke chehre pe jalaal aur hashm tha kaisa

rob tha jiski nigahon mein ali ke jaisa

koi shabbir ke lashkar mein nahi tha aisa

ye kis ki nazar kha gayi jarraar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


jis ki umeed pe pardon ki zamanat li thi

jab ye zainab ne kaha maara gaya wo ghazi

khud ba khud sar se sarakne lagi chadar sab ki

ay bibiyon chadar ka nigehdaar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


goonji qaimon mein ye awaaz dil e zahra ki

ae behan mar gaya battees baras ka bhai

yaad baba ki jab aayegi kise dekhogi

darya se rukhe hyder e karrar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


raah mein gir ke kuchal jayega naaqe se koi

taaziyane koi khayega tamache koi

ab nahi aayega durron se bachane koi

jo karta tha bachon se bohat pyar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


saamne pani tha lekin na piya us ko khayal aata raha

ke abhi qaimon mein sab bacche hai pyase

pani jab le ke chala teer chale mashk chidi gir gaya parcham

bina haath gira khaak pe jis dam

wo pyasa wo pyason ka wafadaar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...


jab bhi bulwaya hai ghazi ne karam farma kar

dekha zeeshan ne darwesh ye manzar jaa kar

roz e ashoor talak roz haram mein jaa kar

sar peet ke kehte hai azadaar na aamad

alamdar na aamad alamdar na aamad

saqqa e haram...