Kanz e Aza

Ay Meri Jaan Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jab ran ko chale qaime se hamshakle payambar

laila ne kaha bete ko seene se laga kar


ay meri jaan akbar jab zakhm koi khaana

baba se chupana

laila ne kaha ro kar jab dard ho seene mein

tum maa ko batana


laashe utha utha ke ab thak chuke hai baba

athara saal waala tu hai jawan beta

mai jaanti hoon akbar mushkil hai zaeefi mein

tera laasha uthana

ay meri jaan akbar...


mar jaaye jiska beta wo kaise gham uthaye

tujhse lipat ke ran mein shabbir mar na jaaye

is maa ke liye akbar aasan nahi qaimon mein

do laashon ko laana

ay meri jaan akbar...


rakhe khuda salamat akbar teri jawani

bas tu hi mustafa ki hai aakhri nishani

takte hai tera chehra jab bhi tere baba ko

yaad aate hai nana

ay meri jaan akbar...


barchi ka dard seh ke tehroge kaise zeen par

jab dil pe haath rakh kar girne lago zameen par

mai tumko sambhalungi godhi mein uthalungi

tum mujhko bulana

ay meri jaan akbar...


ay laal sabr karna na dard se tadapna

baba ke saamne tum mat aediyan ragadna

tum bete ho laila ke wo dilbar e zahra hai

ye bhool na jaana

ay meri jaan akbar...


jaate huwe phupi se ek baar aur milna

armaan dil mein koi reh jaaye na adhura

zainab ki tamanna hai beta tere maathe par

sehra hai sajana

ay meri jaan akbar...


jab sughra yaad aayi ro ro ke maa pukari

hai muntazir watan mein kab se behen tumhari

ye bhool nahi jaana sughra se abhi tum ne

waada hai nibhana

ay meri jaan akbar...


zeeshan abidi wo maa gir gayi zameen par

qaime se jab jawan ko ruqsat kiya ye keh kar

jab barchi koi maare is chand se seene se

na dhaal hatana

ay meri jaan akbar...