Kanz e Aza

Bade Sarkar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

kehte hai hussain jab bhi aao karbala

pehle maango mere chote bhai se riza

zaairon do sada baadshahe wafa

yaad aa rahi hai karbala


wo hai maula sakhi maula

tum iraada karo ziyarat ka

dil nahi todte kabhi maula

izne ziyarat chote sarkar se le ke

aao chale bade sarkar se milne


tizurooni aaidkum taarifooni shafee'akum


saamne rauze ke gumbad jo nazar aayenge

aankh mein aansu unhe dekh ke bhar jaayenge

dil se niklegi sada ya aba abdillah

aap par mera salaam ay hussain saarallah

rote huwe unhe awaaz ye denge

maula yahan aap mazloom thay kitne

tizurooni aaidkum...


karte hai fazl o karam fazl ke baba sab par

unko tum yaad karo babul hawaij keh kar

tumko lene ke liye khud wo aa jayenge

saath abbas ke hum karbala jayenge

waada karo in ziyaraat se pehle

royenge hum kafe abbas pe jaa ke

tizurooni aaidkum...


dil mein jo baat hai abbas se ja kar kehna

unke rauze ki taraf dekh ke rote rehna

do kate haathon ka unko pursa dena

kehna hum bhoole nahi alqama par jo hua

gurz laga haye jab aap ke sar pe

zakhmi huwe aap rahwaar se gir ke

tizurooni aaidkum...


maula abbas jise chaahe bula lete hai

wo ghareebon ko bhi zawwar bana dete hai

ay azadaron suno fikr kyun karte ho

maula bulwa lenge unse keh kar dekho

haath rakho jaa ke ek baar alam pe

zaade safar khud alamdar karenge

tizurooni aaidkum...


abadwallah ya zahra maaninsa hussaina

abadwallah ya zahra maaninsa hussaina


maula jab sunta hoon naara mai abad wallah ka

dil mera kehta hai maaninsa hussaina zahra

haan wo halmin ki sada kabhi bhoolenge na hum

jab nazar aayega shaahe waala ka haram

bolenge hum door se haath utha ke

aa gaye hum ya hussain aap se milne

tizurooni aaidkum...


izn jab hazrate abbas se hum payenge

ya hussain aap ke rauze se lipat jayenge

waasta zehra ka mujhko rone dena

haath mere dil par maula tum na rakhna

haq to ye hai dil ye phat jaaye wahan pe

qatl huwe maula jis khaak pe pyase

tizurooni aaidkum...


wahin qasim ka badan ghode se pamaal hua

barchi akbar ko lagi seene ka kya haal hua

teer asghar ko laga chid gaya nanha gala

do thay zainab ke pisar dono ko maar diya

ahle haram jahan har laash pe roye

aaj bhi hai wahin sadaat ke qaime

tizurooni aaidkum...


kitne din ho gaye wo rauza nahi dekha hai

jis ke darwaze pe saaqi e atash likha hai

bolo zeeshan o raza ay shehenshahe wafa

zaairon mein ab to naam likh de mera

baithun kabhi mai bhi darbar mein aa ke

rota rahun haye awaaz ye sun ke

tizurooni aaidkum...