jab khafila pahuncha tha madine ke zara paas
maqtal mein hua kya ye suna usne basad e yaas
kat'ta tha jigar dil mein nidamat ka tha ehsaas
har ek se yehi poochti thi maadar e abbas
jab gardan e shabbir pe khanjar wo rawan tha
bas itna batado mera abbas kahan tha
zehra ke pisar jaane nabi sayyade waali
akbar ke kaleje se sina kaise nikali
jab khaak pe dum tod'ta laila ka jawan tha
bas itna batado...
maidan mein baysheer ko jab laaye thay shabbir
nanhe ali asghar ki jo gardan pe laga teer
jab baap ke haaton pe pisar tashna dahan tha
bas itna batado...
aaqa mera maidan mein kyun rehgaya tanha
haa doodh na bakhshungi mai ye kya kiya beta
zehra ka pisar khaak pe jab girya kuna tha
bas itna batado...
jab bibiyan jalte hue qaimon ke thi andar
jab zainab e dilgeer ki cheeni gayi chadar
jab gardane beemar mein wo tauqe garan tha
bas itna batado...
abid ko liye phirti thi jab zainab e muztar
jab aag lagayi gayi cheena gaya bistar
phaila huwa jab shaam e ghariban ka dhuan tha
bas itna batado...
jab shaam e ghariban mein bhi pyase rahe bache
jab dukhtare shabbir ke lagte thay tamache
jab uska jigar karbe yateeme se tapan tha
bas itna batado...
zainab ne kaha usko wafa ka tha bahot paas
jab zibha huwe bhai tho zindan na thay abbas
bin haaton ke tha ghairate ilyaas ka laasha
saahil pe tadapta raha abbas ka laasha
ye sun ke kiya shukr magar phir bhi hai ehsas
ab tak ye qamar poochti hai madare abbas
jab gardane shabbir pe khanjar wo rawan tha
bas itna batado...