behen ye ghazi ki ro ro ke bain karti hai
chale bhi aao ke ab shaam hone waali hai
khabar to le koi abbas kyun nahi aaye
rasool zaadi ki ran may yehi duhaai hai
behen ye ghazi ki...
hai muntazir dar e qaima pe tashnalab bache
tumhare aane ki ay bhai aas baakhi hai
behen ye ghazi ki...
madad ko aa ke na chin jaye chadarein sar se
sipaah e shaam hamay lootne ko aati hai
behen ye ghazi ki...
hui thi zaamin e parda ye soch kar zainab
ali ki beti hoo aur ghazi mera bhai hai
behen ye ghazi ki...
ab aa bhi jao ke ghutne laga hai dam mera
qayaam jal gaye bhai badi udaasi hai
behen ye ghazi ki...
andhera cha gaya abbas tum nahi aaye
sakina khaak pe ab sar jhukaye baithi hai
behen ye ghazi ki...
teri sakina ke ruqsaar hogaye neele
tamache khaati hai jab bhi tujhe bulati hai
behen ye ghazi ki...