Kanz e Aza

Berida kyun nazar aati zainab aaj abbas jo hote

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

Berida kyun nazar aati zainab aaj abbas jo hote

moo na balon se chupati zainab aaj abbas jo hote

1. dulhane aun-o-mohammed ki le aati ghar me

byaha akbar ka rachati zainab aaj abbas jo hote


2. shahzadi ki tarha apne watan mein rehti

khaid hokar nahi jati zainab aaj abbas jo hote


3. roz shabbir ki masnat ko sajati ghar mein

farsh-e-matam na bichati zainab aaj abbas jo hote


4. sar khule is ko toh suraj ne bhi dekha na yazid

kab tere samne aati zainab aaj abbas jo hote


5. khwab kya kya nahin dekhe the sakina ke liye

uski turbat na banati zainab aaj abbas jo hote


6. ya ali aayiye ab khud hi bachane ke liye

taziyane to na khati zainab aaj abbas jo hote


7. ghar mein ayyi toh na pehchansake abdullah

kya zayifa nazar aati zainab aaj abbas jo hote


8. kaha mo dhaap ke yeh asr ke suraj ne saroosh

be rida kyun nazar aati zainab aaj abbas jo hote