chod ke tujh ko maa jaye kaise watan zainab jaye
aake lahad par bhai ke ro ro ke ye bain kiya dagh
bahatar dil pe liye kaise watan zainab jaye
1. jaan-e-ali binte zehra
karti thi yeh aaho buka
karbobala ke maqtal se
kaise watan zainab jaye
2. qasim-o-akbar saath nahi
ab woh bhara ghar saath nahi
koi mujhey yeh batladey
kaise watan zainab jaye
3. kaise bhulaongi mai bhala
khanjar aur who khushk gala
manzar yeh aankhon mein liya
kaise watan zainab jaye
4. manzil manzil ranjo mehan
baal khule baazoo mein rasan
chashme falak mein dekhe hain
kaise watan zainab jaye
5. jab se sakina saat nahi
chain mujhe din raat nahi
qaid-e-sitam mein dafna ke
kaise watan zainab jaye