De basheer ne roke ye sada, Lut gaye haram mar gaye hussain
Gul hua charaagh lo madine ka, Lut gaye haram mar gaye hussain
Wo mujaaweri rouzae nabi, Is madine ki jis se zeb thi
Qaak me use lo mila diya , Lut gaye haram mar gaye hussain
Do pahar talak saaf ghar hua, asr ko kata shaah ka gala
baade qatle shaah qaima jal gaya, Lut gaye haram mar gaye hussain
Mit gayi jo haaye shakle mustafa, zindagi se haath sheh ne dho diya
Ran me naujawaa'n sheh ka mar gaya, Lut gaye haram mar gaye hussain
Naatawaan ne pehni bediya, ho gayi'n aseer saari bibiyaa'n
qaid ki gayi aale mustafa, Lut gaye haram mar gaye hussain
Bewo'n ko kiya oonto'n par sawaar, dee mareez ke haath me mehaar
Manzilo'n ghareeb kaanto'n par chala, Lut gaye haram mar gaye hussain
Teer se chida halqe bezabaa'n, mar gaya sagheer leke hichkiyaa'n
naare zulm se jhoola jal gaya, Lut gaye haram mar gaye hussain
Baaqare hazee'n hashr tha bapa, zalzale me thi qabre mustafa
Jab basheer ne roke ye kaha, Lut gaye haram mar gaye hussain