Deen e Ahmed ki Baga Hai Karbala
Sajdagaahe Ambiya Hai Karbala
Zulm ki aandhi me haq ki justju
Tashnagi karti hai zakhmon se wuzu
Sabr ke bande ki Rab se guftugu
Hashr tak Haq ki Sada Hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
In Fazaao'n me hai Akbar ki Azaa'n
Karbala Haq ka hai aisa Karwaa'n
Aaj tak qaayam hai jiska Paasbaa'n
Noor ka ek Silsila hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Tashnagi ke khoon ki tehreer hai
Karbala Qur'an ki Tafseer hai
Karbala Islam ki taqdeer hai
Haq ka ek Roshan Diya Hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Karbala Ehsaas ki Pehchaan hai
Karbala ka Deen par Ehsaan hai
Karbala har rukh se Aalishaan hai
Fikr ki hadd se siwa hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Dil hai Karbal mutma'in ahle yaqeen
Is se behtar Sar Zameen koi nahi'n
Jhukti hai yaa'n aasmaano'n ki Jabeen
Har bulandi ka pata hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Fakhr jab Kaabe ki Dharti ne kiya
Daf atan ye Arsh se aayi Sada
Hai kahan tujh me bhala Khaak e Shifa
Tujh se rutbe me siwa hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Hai kahan is khaak ka naimul badal
Pyaas ki dharti pa ashkon ka mahal
Karbala Hayya Ala Khairil Amal
Bandagi ki Inteha hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Karbala ka Gham nazar ki pyaas hai
Karbala ehsaas hi ehsaas hai
Karbala toote dilo'n ki aas hai
Zindagi ka hosla hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Tha kahin Naoshah ka tukde badan
Aasma'n tha bikhre Laashe ka kafan
Be rida thi chand lamho'n ki Dulhan
Kaaba e Sabr o Riza hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Dasht me Mayyat hai Sheh ki Bekafan
Chhin gayi chaadar hai baazu me rasan
Kya kare Abbas ki bekas bahan
Sabr ka ek maareka hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Hai Ghame Sarwar Shiaar e Ambia
Ye saleeqa Binte Zehra ki ataa
Khaak pa hota hai zikr e Karbala
Toote dil ka Aasra hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baqa Hai Karbala
Bekafan Laashe hain maqtal me pade
Ek rasan baara aseeron ke gale
Qafela pyaasa hai zakhmi raaste
Himmat e Zainulleba hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Aag daaman me Sakina ke lagi
Taaziaane Shimr ke khaati rahi
Jalte zakhmon ne badhaai Tashnagi
Pyaas ka ek mojiza hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Yu'n mila pursa yateemi ko yaha'n
Gaal par ubhre tamaanchon ke nasha'n
Kaan zakhmi hain kahan hain baalia'n
Ek musalsil marsiya hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala
Majlise Shabbir hoti hain jaha'n
Fatima tashreef laati hain waha'n
Aye Rasheed aisi Ibadat hai kaha'n
Haan muqadar ki ataa hai Karbala
Deen e Ahmed Ki Baga Hai Karbala