Likha hai jab Shaheed hue sibte Mustafa(saws)
Us waqt hashr ran me namudaar hogaya
Kaa'npi zamee'n badal gaya rang aasmaan ka
Jibreel khaak udha ke pukaare basad buka
Paani diya na shimre layee'n ne Hussain(a.s) ko
Pyaasa kiya shaheed shahe mashraqain ko
Dekho ujad gaya hai bhara ghar batool ka
Gurbat me lut chuka hai bhara bhar batool ka
1. Daswi ki subha aisi Qayaamat dikha gayi
Zehra(s.a) ke ghar pa mout ki badli si chaagayi
Karbal me lut chuka hai bhara ghar batool ka
2. Teer o tabar ko dekhiye khanjar ko dekhiye
Bacho'n ko dekhiye wo sitamgar ko dekhiye
kya is liye saja hai bhara ghar batool ka
3. Barchi ani ki aankh ki binaayi legayi
marne se bawafa ke tawanaayi bhi gayi
Betaab o natawaa'n hai bhara ghar batool ka
4. Kha kar gale pa teer ko Asghar(a.s) bhi chal diye
Qasim(a.s) bhi aur Aon(a.s) o Mohammad(a.s) bhi chal diye
veeraan hogaya hai bhara ghar batool ka
5. Sarwar(a.s) ne bhook o pyaas me ghar ko luta diya
Deene khuda ke waaste sar ko kata diya
pyaasa hai be khata hai bhara ghar batool ka
6. Kar ke shaheed bhi unhe aaraam na diya
har tan se har shaheed ke sar ko juda kiya
Naizo'n pa saj gaya hai bhara ghar batool ka
7. Zehra(s.a) ke laadle ko kafan tak nahi mila
Bete ne apne baap ko kaise wida kiya
Be saaya be rida hai bhara ghar batool ka
8. Taboot shah ka tum jo uthaate ho aye
Zameer
Samaa'n aza ke tum jo sajaate ho aye
Zameer
rone ko aagaya hai bhara ghar batool ka
Kalaam :Syed Mohibbe Abid Abidi Sahab Qibla (Zameer)