Fatima Sa Roti Hai Karbal Ka Nazaara Dekhkar
nargha E Aada Me Bete Ko Akela Dekhkar
1. Hogaya Pamaal Ran Me Ibne Shabbar Ka Badan
chunte Hain Shabbir Tukde Zarra Zarra Dekhkar
2. Kat Gaye Ghazi Ke Shaane Paani Laane Ke Liye
pyaase Bacche Rehgaye Mashke Sakina Dekhkar
3. Seena E Akbar As Me Naiza Aur Jawaa'n Bete Ka Gham
haste Jaate Hain Sitamgar Sheh Ka Girna Dekhkar
4. Akbar As O Abbas As O Qasim As Saare Maqtal Jaa Chuke
aagaye Asghar Bhi Ran Me Sheh Ko Tanha Dekhkar
5. Teen Din Ka Pyaasa Baccha Hath Par Shabbir Ke
roti Hai Khud Alqama Asghar Ko Pyaasa Dekhkar
6. Hath Me Sughra Ka Khat Hai Godh Me Ashgar Ki Laash
chehra E Asghar Ko Chooma Sheh Ne Naama Dekhkar
7. Shumre Ka Khanjar Hai Aur Sukha Gala Shabbir Ka
di Sada Ghazi Ko Shai Ne Sooye Darya Dekhakar
8. Sar Juda Hai Jism Se Aur Hai Badan Me Lakho Teer
roti Hai Baali Sakina Sheh Ka Seena Dekhkar
9. Bibiyaa'n Karti Hai Girya Ek Chadar Bhi Nahi
jism Sarwar Ka Pada Hai Paara Paara Dekhkar
10. Bekafan Uryaa'n Pada Hai Dasht Me Ibne Ali As
deer Tak Sajjad As Roye Sheh Ka Laasha Dekhkar
11. Nouke Naiza Se Wo Girna Aur Rona Ghazi Ka
zainab Sa O Kulsoom Sa Ka Wo Sar Barehna Dekhkar
12. Saath Sau Kursi Nashee'n Hai Aur Zainab Berida
aagayi Darbaar Me Bhayya Ka Chehra Dekhkar
13. Na Hawa Hai Na Ghiza Hai Aur Andhera Har Taraf
kehti Hai Baali Sakina Sa Khaid Khaana Dekhkar
14. Aati Hai Ammar Dekho Majliso Mai Fatema S.a
roti Jaati Hai Azadaro Ka Rona Dekhkar
az: Askari Hussain (ammar)