Kanz e Aza

Gham o Alam ka

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Abid Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

gham o alam ka sarapa hussain tanha hai

meinaan e lashkare aada hussain tanha hai


koi nahi hai jo thaame rakaab e asp e hussain

ab aao zainab e kubra hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...


zaeef baap uthaye huwe hai laashe jawan

koi nahi hai sahara hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...


wo jis se ahle haram ke dilon ko dhaaras thi

chala gaya suye darya hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...


aba mein baand ke laata hai laashe qasim ko

hai paara paara bhatija hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...


batao kaise wo asghar ki qabr khodega

hai iske haathon pe laasha hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...


badi hi wehshat o hasrat se dekhti hai behan

utha ke qaime ka parda hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...


mere qalam ne banaya hai karbala ko watan

ye soch kar mera maula hussain tanha hai

gham o alam ka sarapa...