Kanz e Aza

Ghar Hussain ka Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Iftikhar Arif. Lyrics in Roman Urdu.

sharaf ke shehr mein har baam o dar hussain ka hai

zamane bhar ke gharano mein ghar hussain ka hai


furaate waqte rawan dekh suye maqtal dekh

jo sar baland hai ab bhi wo sar hussain ka hai

sharaf ke shehr mein...


zameen kha gayi kya kya baland o baala darakht

hara bhara hai jo ab bhi shajar hussain ka hai

sharaf ke shehr mein...


sawaale bayyate shamsheer par jawaz bahot

magar jawab wohi mohtabar hussain ka hai

sharaf ke shehr mein...


mohabbaton ke hawalon mein zikr aane laga

ye fazl bhi to mere haal par hussain ka hai

sharaf ke shehr mein...


huzoore shaafa e mehshar ali kahe ke ye shaks

gunaah gaar bahot hai magar hussain ka hai

sharaf ke shehr mein...