Ghar Ko Lutakar Deen Bachana
Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Sajde-e-haq Me Sar Ko Katana
Sab Ke Bas Ki Baat Nahi
Kaamp Raha Hai Azme Khalili
Dang Hai Sabre Ayubi
Laash Jawaa Piri Main Uthana
Sabke Bas Ki Baat Nahi
Karbobala Ke Fatha-e-azam
Tere Jigar Ka Kya Kehna
Ghar Ko Lutakar Shaher Basana
Sabke Bas Ki Baat Nahi
Uth Thi Huwi Har Mauj Tujhe
Abbas Salami Deti Hai
Neher Se Pyasa Laut Ke Aana
Sabke Bas Ki Baat Nahi
Deen Ki Qatir Ghirat-e-Zainab
Yeh Gawara Karti Hai
Warna Bhare Darbar Me Jana
Sab ke Bas Ki Baat Nahi