Haye Hussaina Pyase Hussaina
Ban Me Lute Hai Binte Zehra
Gham Me Jeena Gham Me Marna
Akbar-o- Qasim Ran Ko Sidare Bhai Gaye Darya Ke Kanare
JatI Hai Zainab Bhai Milne Gham Me Jeena
Ek Musibat Hota Bataun Bhai Kaho Tho Mai Marjaoun
Meri Yaha Par Ujdi Dunya Gham me jeena
Mujhse Huwe Abbas Juda Tum Hogaye Kya Zainab Se Khafa tum
Kaise Jiyeagi Teri Bahena Gham Me Jeena
Ek Hai Zainab Lakho Sitam Hain Dil Hai Mera Gham Par Gham Hai
Baat Meri Nahi Ek Chale-Na Gham Me Jeena
Pusth Bhi Zaqmi Bazu Bhi Zaqmi Pyasi Bacchi Aas Bhi Tooti
Ran Me Chidi Hai Mashq-e-Sakina Gham Me Jeena
Aaye Yaha Par Aaj Haram Hain Haye Nabi Darbar-e-Sitam Hai
Dekhle Aakar Shah-e-Madina Gham Me Jeena
Dekhiye zainab Nouha Kuna Hai Bali Sakina Aur Zinda Hai
Farq-e-Sarwar Aur Sakina Gham Me Jeena
Shai Ne Suna Iqbal Ka Nouha Sunle Khuda Ye Aal Ka Nouha
Teri Aata Hai Ya-Rab Nouha Gham Me Jeena