Shahe Karbo Bala Dukhtar-e-fatima
Ek Behna Teri Ek Beta Tera
Ja Raha Hai Watan Ye Loota Qafila
Chod Kar Kya Watan Tum Ko Jaye Bahan
Sath Mere Nahi Hai-e-shiri Suquan
De-Sa-Ki-Na Unhe Bhi Do Gaz Kafan
Ja Raha Hai Watan Ye Loota Qafila
Kaisi Shadi Huwi Teri Ibn-e- Hasan
Bewa Dulhan Bani Ujdi Ban Me Dulhan
Para Para Huwa Ran Me Sime Badan
Lash Kaise Mili Jane Mushkil-Kusha
Haye Barchi Ka Phal Aarzu Mit-Gayi
Umme Laila Gharib Haath Malti Rahi
Zainab Khasta Dil Dekhti Reh Gayi
Shai Ka Kadyal Jawan Samne Chal Basa
Jab Watan Jaoungi Chain Kya Paongi
Sugra Puchigi Jab Kaise Samjaoungi
Sath Asghar Nahi Kya Me Batlaongi
Teer Juhi Laga Muskurakar Gaya
Parchame Haq Utha Daste Ghazi Kate
Bad Un Ke Haram Ban Me Shaike Lute Phir Haram Pe Sitam Aur Badte Rahe
Khaime Jalne Lage Kurte Bhi Jalagaye
Ghar Me Jate Hi Zainab Ko Yaad Aa Gaya
Dono Bache Jari Un Ko Tadpa Gaya
Maa Ki Mamta Bahut Aansu Barsa Gayi
Zaqm-e- Dil Maa Ka Phir Aur Hara Ho-Gaya
Poochti Hai Basher Tujhse Ummul Bani
Sar Juda Kiya Shaika Shimr Ne
Ahle Bait-e-nabi Berida Jab Huwi
Ye Jo Hota Raha Mera Abbas Tha
Binte Mushkil Kusha Jab Huwi Berida
Khoon Roote Rahe Ek Zainul-e-Ba
Sunke Nouha Tera Roti Thi Fatima
Kaise Iqbal Tu Hal-e-zainab Likha