KARBALA KI YE SADA HAI LAILAHA ILLALLA
Chin Gayi Zainab Ki Chadar Lutgaya Zehra Ka Ghar
Tab Kahin Jaker Basa Hai LAILAHA ILLALLA
Jiski Qatir Hogaye Abbas Ke Bazu Qalam
Is Tarha Ye Chagaya Hai LAILAHA ILLALLA
Reg Zare Karbala Per Cheh Mahine Ka Ali
Teer Khaker Kheraha Hai LAILAHA ILLALLA
Deene Ahmed Ka Muarriq Hai Hussain Ibne Ali
Jisne Khoon Se Likh diya Hai LAILAHA ILLALLA
Deen Per Mohre Nabuwat Sajda-e- Shabbir Hai
Naksh Dil Par Ho Gaya Hai LAILAHA ILLALLA
Chadar-e- Tathir Kehti Thi Sina Ke Nok Par
Meri Zainab Ki Rida Hai LAILAHA ILLALLA
Ye Hussain Ibne Ali Ki Khoon Ki Taseer Hai
Har Musalla Padh Raha Hai LAILAHA ILLALLA
Baat Ye Syed-e-mazhar Ek Zuban Hoker Kahe
Shah Ke Matam Ki Sada Hai LAILAHA ILLALLA