Azadarou Dua Mangou Koye Aaise yateem Na Ho
Jaise Sakina Yateem Howi
Sham Ke Zindan Me Jab Sakina Ko Baba Ka Sar Mila
Lipta Ke Sar Ko Sene Se Bachi Ne Ye Kaha
Khagaye Shaam Ke Zindaa Main Andhere Baba
Kis Ko Kehte Hain Yateemi Yeh Suna Tha Maine
Aap Ke Baad Yeh Ahsaas Huwa Hai Baba
Aap Ke Baad Yateemi Ki Saza Payee Hai
Itni Tanha Houn Ke Saya Hai Na Parchaee Hai
Raat Ro Ro Ke Guzar Thi Hai Toh Din Matam Main
Qaid Qane Main Yoohi Saal Katha Hai Baba
Zaindagi Meri Dukhoun Ki Hai Ibarath Baba
Kaisi Kismat Ne Dikhaee Hai Musibat Baba
Main Jo Rothi Houn Tho Lagte Hain Tamache Baba
Aap Ki Yaad Main Rona Bhi Saza Hai Baba
Ashk Aankhoun Se Nikalte Kain Lahoo Kanoun Se
Ab Darindoun Se Nahi Khouf Hai Insanou Se
Ek Mahboor Yateema Par Sitam Daathe Hai
Meri Taqdeer Main Durroun Ke Nashan Hai Baba
Aapki Terha Se Ruteh Hai Ujalw Baba
Kaun Zindan Se Ab Mujko Nikale Baba
Tune Maanga Tha Duaoon Main Khudase Mujk
Aj Wo Beti Hai Zindaa Main Jafa Hai Baba
Kitney Armaa The Ke Zindaa Se Main Ghar Jaoungi
Aisa Lagta Hai Yahi Roro Ke Margaongi
Yeh Sitamgar Sakina Ko Kafan Kya Denge
Kya Kafan Aapke Lashe Ko Mila Hai Baba
Baba Khete Hai Yeh Zinda Ke Andere Mujse
Mouth Hi Ayegi Ab Mujko Dilasa Denge
Meri Har Sans Hi Rethi Hai Sitam Ki Zad Par
Aise Jine Se To Mar Na Hi Bhala Hai Baba
Zakm Lakho Hai Kaleje Main Dikahou Kaise
Mujpe Jo Beeth Rahi Hai Wo Batao Kaise
Payaas Lagti Hai To Pileti Houn Ansu Apne
Shirm Ke Durre Sakina Ki Ghiza Hai Baba