sakina kehti hai baba
chale aao chale aao
na aaye ammu na aaye tum
khudara chale aao
bahot hoo choti bataun kaise
jo mujhko takleef ho rahi hai
aray ay baba teri sakina
andhere zindan mein ro rahi hai
bichad se asghar se aur tum se
sakina jaan apni kho rahi hai
na aaye ammu na aaye tum
khudara chale aao...
sakina kehti hai baba...
ye saal o sin aur ye aseeri
andhera zindan aur sakina
sahara dene ko kaun aaye
jo aaye dene ko aaye eeza
jo zakhm shaam e alam mein paaya
wo dekho baba hai ab bhi taaza
na aaye ammu na aaye tum
khudara chale aao...
sakina kehti hai baba...
ye meri tifli ye mera bachpan
musibaton ke pahaad toote
is ek nanhe se dil pe dekho
uthaye hai maine kitne sadme
sadayein deti thi mai tadap kar
magar khabar mere li na tumne
na aaye ammu na aaye tum
khudara chale aao...
sakina kehti hai baba...
dino ko bazaar mein phire hum
to raat zindan ka andhera
neher pe ammu gaye hai jab se
tadap gayi aab ko sakina
zamana guzra na mil saka hai
sukoon ka mujhko ek lamha
na aaye ammu na aaye tum
khudara chale aao...
sakina kehti hai baba...