dekh lo abbas mere dekh lo abbas
khule sar bhai zainab jaa rahi hai
sada zainab ki dekho aa rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
kabhi panjo ke bal chalti hai bacchi
kabhi uth'ti hai aur girti hai bacchi
rasan gardan mein kasti jaa rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
ye dekho kaise kaise marhale hai
ke ek rassi hai aur baara gale hai
rasan shaano mein khud bandhwa rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
kisi ne durron se nashtar se maara
kisi ne mujhko phir patthar se maara
ye dekho zakhm kaise khaa rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
ke jis ka chehra suraj ne na dekha
khule sar dekhti hai aaj dunya
ye kismat kya hamay dikhla rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
har ek bibi chipi zainab ke peeche
bhala zainab kahan chip jaaye jaa ke
ye manzar dekh ke ghabra rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
wiqare aaya e tatheer hai ye
lo dekho zainabe dilgeer hai ye
ye fauje ashkiyan batla rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
har ek galiyon mein koochon mein phirao
ke jaise ho sake waise satao
munadi ki sada ye aa rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...
bayan aamir jo zainab kar rahi thi
na poocho shams wo kaisi ghadi thi
ke maqtal se madina jaa rahi hai
khule sar bhai…
dekh lo abbas...