KOI ZAINAB KA AASRAA NA RAHAA
SAR PE SAAYA HUSSAIN KA NA RAHAA
Bujh gaye sub charaagh maqtal me .. x 2
Ek Asghar saabhi diyaa na rahaa
Koi Zainab ka aasraa na rahaa
Naujawani hai khoon me ghaltaa .. x 2
Haye hum shakle Mustafa na rahaa
Koi Zainab ka aasraa na rahaa
Be ridaayi ye de rahi hai sadaa .. x 2
Ab muhaafiz wo bawafaa na rahaa
Koi Zainab ka aasraa na rahaa
Siskiyaale ke ro rahi hai furaat .. x 2
Tashnalab kausari gharaa na raha
Koi Zainab ka aasraa na rahaa
Har qadam karbala se shaam talak .. x 2
Pusht e Abid pe taaziyaana rahaa
Koi Zainab ka aasraa na rahaa
Qaid thi phir bhi lab pe Zainab ke .. x 2
Koi shikwaa koi gilaa na rahaa
Koi Zainab ka aasraa na rahaa
Karlo matam Kamaal sarwar ka .. x 2
Waqt daman me phir raha na rahaa
Koi Zainab ka aasraa na rahaa