Kanz e Aza

Koofay May Karbala ka Ye Manzar Ayaan Hua

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Mola mera shaheed ba waqt e azaan hua


Kis ne charagh e khana e Kaaba bujha diya

Taza Hasan Hussain pe madar ka gham hua

Roeen zameen nalan kuna aasmaan hua

Mola mera shaheed ba waqt e azaan hua


Baqi tha aik sajda ke talwar chal gayi

Is gham may nabz e arz o sama doobnay lagay

Quran Murtaza ke liye noha khawan hua

Mola mera shaheed ba waqt e azaan hua


Rozay pe roza rakhay huay rozay dar tha

Islam keh raha hay shah e zulfiqar tha

Ham se Nabi ke deen ka chahra juda hua

Mola mera shaheed ba waqt e azaan hua


Hasnain kaise dagh e yateemi uthayain gay

Abbas baba keh ke kisay ab bulayain gay

Barpa zameen o arsh pe shor e fughaan hua

Mola mera shaheed ba waqt e azaan hua


Rehan Aazmi saf e matam bichayey

Farsh e aza pe baith ke ansoo bahayey

Ye saneha Batool ke ghar na gahan hua

Mola mera shaheed ba waqt e azaan hua