kya sunte ho aye abdullah
dunya ki sataayi hai zainab is haal me aayi hai zainab
thi zaqme dil ki ek sada kya sunte ho aye abdullah
maqtal ko gaye pyase bache aaye na palat kar par bachhe
laashe ke nishaa'n yu sheh ko mile qasim ke badan ke tukde mile
armaa'n na kisi ka pura hua
zainab in aankhou se dekhi akbar ke kaleje me barchi aur dekhi khoon ka ek darya
abbas ne sheh ki nusrat ki sarwar ne uski itaa'at ki
pani ke liye be dast hua
halmin ke sada pe ran ko gaya asghar ke gale pe teer laga
kat'te hue dekhi uska gala
jab chota bada koi na bacha beemaar tha bas ek ghash me pada
narghe me tha tanha bhai mera
faryaad kuna thi jab muztar wo pyase gale par kundh qanjar
jab roti hui aayi zahra
phir aayi qayamat ki wo ghadi aandhi bhi wahaa par chalne lagi
jab shimr ka qanjar chalne laga
har simt udaasi chaayi thi kya shame ghareebaa aayi thi
wo haal hua dekha na suna
sar haq pe diya bhai mera iqbaal bohat wo sabir tha
zainab ka bas ye nouha tha