Raah E Qaliq Me Jab Ghar Ka Ghar De Chuke
noor Ankho'n Ka Tha Jo Pisar De Chuke
ghaiz Me Khainch Kar Zulfeqar-e-ali
bole Sheh Dekh Kar Su-e-laash-e-jari
mere Ghazi Utho Jung Dekho Meri
aayi Itne Me Rab Ki Sada
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
1. Laaj Rakhle Mere Ishq Ki Baat Hai
mere Bande Yeh Waqt-e-mulaqaat Hai
rokle Rokle Teghe Khaibar Kusha
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
2. Har Ghareeb-ul-watan Ne Pukara Mujhe
har Ujadte Chaman Ne Pukara Mujhe
aaj Mai Khud Tujhe De Raha Hu Sada
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
meesum
3. Ab Na Akbar Na Abbas Koi Nahi
asr Ka Waqt Hai Paas Koi Nahi
aye Ghareeb-ul-watan Aye Shah-e-karbala
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
4. Aik Chullu Lahu Aur Nanhi Hasi
de Chuka Tu Mujhe Hadya-e-aaqri
ban Chuki Qabr-e-besheer-e-karb0bala
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
5jaan-e-zehra Nabi Ka Nawasa Hai Tu
mera Sehroz Ka Bhooka Pyasa Hai Tu
mujh Se Dekha Na Jayega Ab Gham Tera
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
6. Ek Musafer Pe Tegho'n Ki Yalghaar Hai
aik Bekas Pe Teero'n Ki Bochaar Hai
tera Pehlu Bhi Naizo'n Se Chalni Huva
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
7. Faqr Ki Baat Hai Tera Qaleq Hu Mai
mera Aashiq Hai Tu Tera Aashiq Hu Mai
paas Mere Tere Dard Ki Hai Dawa
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
8. Gham Me Farzand Ke Roushni Chal Basi
laash-e-ghazi Pe Teri Kamar Jhuk Gayi phir Bhi Toota Na Ab Tak Tera Housla
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
9. Sunke Moula Ne Aawaaz-e-rabb-e-seher
rakh Diya Zer-e-shamsheer Sajde Me Sar
be Niyazi Jo Dekhi Toh Rab Ne Kaha
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
10. Mere Bando'n Me Tujh Jaisa Banda Nahi
zere Khanjar Bhi Tu Mujh Ko Bhoola Nahi
hashr Tak Mai Karunga Tera Tazkera
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
11. Imteha'n Tera Poora Huva Asr Par
asr Ke Baad Zainab Karegi Safar
sar Karegi Wohi Shaam Ka Maareka
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain
12. Bekaso'n Ki Qasam Aye Bilal-e-hazeen
juz Hussain Aisa Mazloom Dekha Nahi
sura-e-fajr Jiska Bane Marsiya
irjayi Irjayi Ya Hussain
meri Janib Palat Aa Hussain