Karbala walo'n ka maatam hai hamaari zindagi
karbala walo'n pa roona hai hamaari bandagi
hai yahi ajre risaalat qalq ko batlaayenge
Milke kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Dil se kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
1. Hum azadaare hussaini ki yahi pehchaan hai
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Sab Yahi kehte hai maatam hi hamaari jaan hai
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Parchame Abbas(a.s) lekar khuld me hum jayenge
Milke kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
2. Hum sabhi paida hue hain tere matam ke liye
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
zindagi humko mili hai bas tere gham ke liye
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Gham nahi gar matame shabbir(a.s) me marjaayenge
Milke kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
3. Ashk aankho'n se bahenge matam e shabbir(a.s) me
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
khoon seeno'n se bahega matam e shabbir(a.s) me
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
saare fatwo'n ko lahu me hum baha lejaayenge
Milke kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
4. Matam e Shabbir(a.s) hi khaire amal hai dosto
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Aaj gham hai sohbate Shabbir(a.s) kal hai dosto
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Hashr ke maidaan me hum matami kehlaayenge
Milke kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
5. Dil ki armaa'n hai yahi bas Shaah ki hamsheer ka
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Aayein sab karbobala chehlum karei'n shabbir(a.s) ka
Ya Hussain(a.s) Ya Hussain(a.s)
Bas yahi kehte rahenge karbala jab jaayenge
Milke kaho Ya Hussain(a.s) kehte raho Ya Hussain(a.s)
Kalaam : Ustad Janab Dawar Ali Dawar Sahab