Phir Aaj Ro Rahi Hai Koofe Me Shahzadi S.a.
muslim Asws. Ko Baam Par Se Aada Gira Rahe Hain.
1. Chand Sikko'n Ke Ewaz Bhool Gaye Sab Vaade
kam Se Kam Koi To Muslim Asws. Ko Watan Pohoncha De.
mehmaan Ko Galiyon Mein Dar Dar Phira Rahe Hai.
2. Pucha Ehwaal Jo Tou'a Ne To Dil Kaanp Utha.
kyun Bhatakta Hai Yu Dar Dar Hain Kahan Ghar Tera.
ghurbat Pe Apni Muslim Asws. Qud Roye Jaa Rahe Hai.
3. Gher Kar Maar Rahe Hai Ashqiyaan Wawaila.
haaye Muslim A.s Hai Akele Anginat Hai Aada L.a.
narghe Mein Leke Zaalim Naize Chubha Rahe Hain.
4. Mere Moula Ko Yeh Paighaam Sunade Ay Hawa.
aap Koofe Mein Na Aao Ay Bine Shere Quda Asws.
har Saans Pe Muslim Yeh Asws. Dohraye Jaa Rahe Hai.
5. Isi Koofe Ne Hai Cheena Murtuza Asws. Ka Saaya.
isi Koofe Me Bahaa Hai Khoone Muslim Bejaa.
har Gaam Pe Zahra S.a Ko Koofi Rula Rahe Hain.
6. Baap Ko Fikr Hai Bacho'n Ki Har Ek Aan Yahi.
unko Amma Se Qudaya Tu Milade Jaldi.
bache Hai Mere Kamsin Par Gham Utha Rahe Hai.
7. Is Qadar Hogaye Dandaane Mubaarak Zaqmi.
pyas Lagti Hai Magar Pee Nahi Paate Pani.
behta Hai Qoon Moo Se Qoo'n Mein Naha Rahe Hai.
8.jaane Abbas Asws. Ne Kis Tarha Wo Manzar Dekha.
apni Hamsheer Ki Duniya Ko Ujadte Dekha.
muslim Asws. Ke Gham Mein Moula Aansoo Baha Rahe Hai
9.
Asghari
Wale Hai Gham Mein Kar Rahe Hai Matam.
har Azadaar Ki Ankhon Mein Hai Ansoo Paiham.
Mirza Kumail
Sabko Nauha Suna Rahe Hai.