Kanz e Aza

Roke Shabbir Sada

A noha for Hazrat Muslim (a.s), written by Arif Sahab. Lyrics in Roman Urdu.

ro ke shabbir sada dete thay sada haye muslim

kaun kufe mein tera laasha uthaye muslim


na mila laasha tera koi uthane waala

marsiya pad ke tera sog manane wala

tujh pe zehra o ali rone ko aaye muslim

ro ke shabbir sada...


misle abbas wafa teri bhi meinaar pe hai

sabr bhi tu ne kiya zulm o jafa per aise

zakhm seene se sabhi tu ne lagaye muslim

ro ke shabbir sada...


kufe waalon ne tujhe itna sataya muslim

kasr ki chath se tujhe aise giraya muslim

teri ghurbat ka ye gham mujhko sataye muslim

ro ke shabbir sada...


dekh kar suye najaf ro ke ye sarwar ne kaha

baba ummat ne naya zakhm diya wawaila

hogayi khoon se tar aaj kaba e muslim

ro ke shabbir sada...


tujh pe jo guzri usay kaise sunaye jaa kar

kya ruqayya ko tera haal bataye jaa kar

kaun ab jaa ke usay aas dilaaye muslim

ro ke shabbir sada...


kar masayib ka khula aise sahab aur safdar

inteha jis ki hui karbobala mein aa kar

bas ye tamheed sitam ki hai qaza e muslim

ro ke shabbir sada...