haye turbat mein ro padi zehra
aise roye hussain muslim ko
gir gaya haye sar se ammama
aise roye hussain muslim ko
raahe kufa mein thay hussain abhi
jab khabar aayi qatl e muslim ki
jis jagah thay wahin pe baith gaye
ashk aankhon se hogaye jaari
khafile mein sada thi wavaila
aise roye hussain muslim ko
haye turbat mein...
phir ye zainab se ro ke farmaya
mai to barbaad hogaya behna
mere bhai ko ahle kufa ne
kis khadar bekasi mein maar diya
sun ke behosh hogayi behna
aise roye hussain muslim ko
haye turbat mein...
be-watan par zara na rehm kiya
ek musafir pe ye jafa dhaayi
karke pyasa shaheed muslim ko
laash kufe ke dar pe latkayi
bas ye kehte hi sar ko peet liya
aise roye hussain muslim ko
haye turbat mein...
zauja muslim ki jab khareeb aayi
usko muslim ka yun diya pursa
misle abbas tha wo mere liye
haal kaise bataun mai dil ka
jaise bete ko baap hai rota
aise roye hussain muslim ko
haye turbat mein...
shiddate gham se qalb zakhmi tha
aur aankhon se alqama jaari
haye mera safeer maara gaya
bas yehi keh ke ki azadari
ek pal bhi nahi ruka girya
aise roye hussain muslim ko
haye turbat mein...
farshe majlis pe safdar o mazhar
yun masayeb bayan hote hai
matami soghwaar hai sab hi
ban sunte hai aur rote hai
marsiya ban gaya yehi jumla
aise roye hussain muslim ko
haye turbat mein...