wasiyat hai yateema ki zindan se sakina ki
kaun zindan mein sune ye mere naale amma
kar diya mujhko andheron ke hawale amma
ek muddat se nahi dekhe ujaale amma
mujhko zindan ke andheron se bachana amma
roz turbat pe meri shamma jalana amma
apne in zakhmon ki mai taab na la paungi
mujhko lagta hai mai kuch roz mein mar jaungi
amma mai laut ke na apne watan jaungi
meri haalat meri sughra ko batana amma
roz turbat pe meri...
jab bhi mai royi mujhe maarta tha shimre layeen
neend is darr se mujhe qaid mein aati hi nahi
phir meri qabr pe wo shimr na aa jaye kahin
mujhko tanha na yahan chod ke jaana amma
roz turbat pe meri...
pyaas ki aakhri manzil hai ye hai waqt kada
jism ka pani mera sookh gaya hai saara
ab to haddi se mera gosht juda hone laga
mera ye haal chacha jaan ko sunana amma
roz turbat pe meri...
ghusl jab dene lago mujhko to ho dhyan zara
zakhm taaza hai abhi khoon bohat mera baha
jism ke zakhmon se chipka hai ye kurta mera
jism se kurte ko aahista chudana amma
roz turbat pe meri...
hogaya mujhko yaqeen mai na kabhi jaungi ghar
dafn ho jaungi is qaid e jafa mein mar kar
ek wasiyat hai meri poori karogi maadar
fateha ke liye baba ko bulana amma
roz turbat pe meri...
kaisi pur dard wasiyat thi bayan ho kaise
bain ye mazhar o farhan sakina ne kiye
zaalimon se na kafan lena sakina ke liye
mujhko kurte mein hi marqad mein sulana amma
roz turbat pe meri...